GuidePedia

0
HOW TO VERIFY PAYZA ACCOUNT IN PAKISTAN?


Verify payza account in urdu complete guaide
of 4 November 2013

agar apka payza account hai to ap is tareekay se apna account verify kr sakty ho or agar apka payza account nai hai to sab se pahly apna payza account banaye
payza k liye yahan

click krain


agar payza account hai to ye rahi complete
post payza o verify krny ki

Payza account paypal ki tarhan ka aik
online bank hai jis ke zariye ap online
payment bhi kar sakte hain aur
Pakistan main paise wasool bhi kar
sakte hain muger Payza account ko
verified karna zaroori hai kyun ke
verified account ke zariye he ap apni
payments withdraw karwa sakte hain
aur verified karne ka dosra maqsad
Payza account ko secure karna hai
take payment kisi dosre bande ko na
ho sakay aur kisi issue ke create hone
ki surat main usay sahi tarhan hal kia
ja sake. Ab yahan baat yeh hai ke
Payza account ko verified kaise kia
jaye to Payza apko account verification
ke bohat se tareeqay de raha hai jin
main sab se pehla tareeqa
Payza account ko Bank Credit card ke zariye
verify karna hai. Credit Card Ke Zariye
Verification : Payza account ko ap apne credit card
ke zariye bhi verify kar sakte hain
muger baz Pakistani card payza
account ko verify karne main cargar
sabit nai ho rahay yani Pakistani
Banks ke credit cards ke zariye
verification main bohat se technical
issues samne aye hain ke Pakistani
cards payza account ko verify nai kar
pa rahay muger phir bhi ap in steps
par amal kar ke apna Payza account
Pakistani Credit Card ke zariye verify
 karne ki koshish kar sakte hain .


  • 1. Sab se pehle apne Payza account

mian apni ID aur Password ke zariye
login karain.

  • 2. Apne Payza account main di gai

option "Add a credit card" par click karain.

  • 3. Apna credit card Name , Number ,

CVC Code enter karain aur form submit
kar dain. Ab Payza apke account ko check
karne kel liye apke credit card
main se 1$ se 2$ tak katay ga is
liye apke credit card main
verification ke liye kam az kam 5$
hona zaroori hain. Ab apke email ID par apki account
statement bhej di jaye gi . Dobara
24 hours ke baad apne account
main login karain aur apna verified
Payza account check karain .
Payza Account Verification Bank Wire Ke
Zariye : Bank Transfer aur Bank Wire (Swift)
Deposit ke zariye Payza account verify
karna thora mushkil process hai jis
main paise transfer to Payza via bank
wire aur bank transfer bhijwai jate
hain . Pakistan main log is process ko
bohat kam istimal karte hain muger
apko is ka tareeqa kar neeche bata
raha hon jis par amal kar ke ap apna
Payza account verify kar sakte hain.
1. Apne Payza account main login
karain. 2. Apne account main di gai Deposit ki
option main Bank Wire ki option ko
select karain.
3. Ab verification page par jain wahan
bank wire ke zariye verification
purpose ke liye bheji jane wali amount ko
 darj karain . Amount darj karne ke
baad Submit karian ab wahan Pending
likha howa nazar aye ga.

  • 4. Bas ab ap apne bank account ke

zariye online paise Payza ke account
main transfer kar dain jaise he Payza account main paise transfer hoon gay
apka account verify ho jaye ga. Payza Account Verification
Important Documents Ke Zariye : Pakistan main rehne walay log apna
Payza account apne important Legal
Documents ke zariye bhi verified kar
sakte hain in legal documents main ap
ke CNIC ki scan ki hoi copy, Utility bill
ki scan ki hoi copy aur Bank statements
 shamil hain. Ap apna payza
account apne shanahti card ya gher
ke utility bills aur ya bank statement
ke zariye verify karwane ke liye payza
team se direct contact kar sakte hain.
Is maqsad ke liye ap Payza team ke online
 representative se live chat bhi
kar sakte hain aur usay account legal
documents ke zariye verify karne ki
request kar sakte hain. Legal
documents ke zariye email bhejne, ya
representative se online chat karne ke liye yahan

CLICK KARAIN
agar koi problm ho to poch sakty ho


Post a Comment

 
Top